Wednesday, October 6, 2010

MOHD. AKMAL NAZIR A WRITER OF URDU VERSES AND AN ENGLISH TEACHER

Mohd.Akmal Nazir
Meri Manzoom Urdu Takhleeq
1-"یاد  "(DATE OF COMPOSITION 16.09.2008)

اسکے  انداز مسیحائی  پیے  قربا ن  لیکن ,
زندگی  آج  بھی  ایک  بوجھ  بنی  جاتی  ہے ,
دیکھ  لیتا  ہوں  کبھی مڑ  کے  جو  ماضی  'اکمل ',
چشم حیران  میں  وہ  چادر  سی  تنی  جاتی  ہے ,
جسکی  وسعت  میں  سما  جاتی  ہے  غم  کی دنیا
 جس  کی  جھنکار  سردشت  سنی  جاتی  ہے
 


2-SADDAM HUSAIN KA PAIGHAM AMERICA KE NAAM (D/O COMPOSITION 12-04-2008
kahan mumkin junoo mera aseer-e-daam ho jaye, shahadat hi meri mujh ko mera in-aam ho jaye, yahan ke bachche bachche se tujhe hushyaar rahna hai, inhi mein se koi bachcha na kal SADDAM ho jaye.

3- muddato baad phir ek hook si utthi dil mein, muddato baad tere shahr ka deedar hua, muddato baad teri deed ka bhoola hua gham, aaj phir dil se mere barsar-e-paikaar hua.

4-"SUBH-E-AZADI"(D/O Composition 04-08-1998)

saath apne subh-e-azadi bhi kya laai hai aaj, jane kitne wada-o-paima bhula aai hai aaj, ye tamanna thi ki gulshan mein khilenge phool ab, ho chuki hai eik baar aisi na hogi bhool ab, raas aai hi nahi hai unko azadi teri, phir harifon ki nigahon mein hai barbadi teri, kis qadar shorish bapa hai sahn-e-lala zar mein, gul bhi ab khilte nahi ulfat ke is gulzar mein, arzoo jeene ki thi jo aaj rukhsat ho gayi, ye siyasat bais-e-bughz-o-adawat ho gayi, iqtedar hasil hai unko jo kisi qabil nahi, deeda-o-lab jinke hargiz razdar-e-dil nahi, jinke hangamo se theen abaad dil ki bastiyan, qabil-e-nafrat bani hain aaj wo hi hastiyan, kya khabar thi zulm ki kheti hari ho jaayegi, aur nazr-e-raahzan yeh rahbari ho jaayegi, zaat-o-mazhab phir ta-assub ke nigar ho jaayenge, ye anasir qissa-e-sham-o-sahar ho jaayenge,garm hoga kisht-o-khoo ka phir yahan bazaar ab, mil na payega dilon ko marham-e-aazaar ab, hai magar raushan chirag-e-aarzoo dil mein kahin, baagh mein aayegi tere phir bahar-e-dil nashin, phir na karna ye qabaa-e-salmiyyat taar taar, ho na jaye daman-e-hindostan phir daagh daar, dil magar ulfat mein teri is qadar sarshaar hai, tujh pe mar mitne ko 'Akmal' aye watan taiyaar hai.

1 comment:

  1. Poem number one is very rich in language as well as in thoughts. It has been composed on the heat of emotions, remembering the past. The next one is the will of SADAM HUSSAIN.

    ReplyDelete