Sunday, October 10, 2010

MERI KUCH AUR URDU NAZMEIN

1-Sochta rahta hoon aksar zindagi ek raaz hai, gham bhi deti hai, magar woh gham jo be awaaz hai, muskurahat dekhte ho jab bhi chehre par mere, dard ko apne chupaane ka ye ek andaaz hai.
2-Jab se main ho gaya khud nigar doston, dil ko bhane laga har safar doston, phir buton ki muhabbat mein pagal hue, phir dua mein nahi hai asar doston.
3-Ab ke gulshan mein na bulbul na bahar aayi hai, bekhudi bojh kai sar se utaar aayi hai, kaise de doon tujhe do waqt ki roti jaana, tera deewana aseer-e-gham-e-manhgaai hai.
4-Apne hi soz-e-ishq se khud ko nikaal kar, aye dil zara sambhal le apne ma-amle, tanhaiyon ki raat ho ya din visaal ka, rakh le use sambhal ke jo kuch tujhe mile
5-Chahe laga de qaid tu meena-o-jaam par,Hum to piyenge shahr ke har eik gaam par,Is baat par hain muttafiq ahle watan tamaam,Baatenge hum na mulk ko dahshat ke naam par.
6-Kaise-kaise qurbaton ke imtehan hote rahe, Hum wafa karte rahe woh badguman hote rahe, Zulm aur phir zulm ki har inteha hoti rahi, Haadson ke naam par qisse bayan hote rahe.

Nazm: Aaj ke siyasatdan
Chalo ek bar phir se baat karte hain shrafat ki, muravvat ki,najabat ki,sakhawat ki,adalat ki,
kahan hain woh muhibban-e-watan jin ki hararat se, dilon mein janm leti theen tamannain shahadat ki, woh qurbani ke paikar woh mohabbat ke haseen gauhar, kahan se dhoondh kar layein misal unki sharafat ki, sitam mashoor hai jinka unhein daawa hai ulfat ka, chalo chodein ye hai baazigari ahl-e-siyasat ki, hamare rahnumayan-e-siyasat ab kahan pahunche, hadein sab tod dali hain nahusat ki khabasat ki, zaban par jo bhi kuch hai dil mein hargiz ho nahi sakta, ye batil ke payambar baat karte hain sadaqat ki, watan ki fikr mein bezaar hain mahr-o-wafa se yeh, khud apne khair khahon par inaayat hai adawat ki, yeh jhooti shan ke hami yeh be baton ke badbole, bahut hi daad deta hoon main ab inki jasarat ki, ye shaitano ke waris aur yeh lashon ke saudagar, duka(n) chamka rahe hain roz ye apni tijaarat ki, yeh be parwa khuda ke khauf se rahte hain har saa-at, zalalat ki kamaai mein kahan khu ho nidamat ki, bahut raushan hain ghar unke harram ki kamai se, magar dil mein hai tareeki zalalat ki khabasat ki, kabutar baziyon mein yeh badi hi shaan rakhte hain, guzarti hain bade andaz se ghadiyan faraghat ki, watan ke maal mein karte hain bandar baant yeh kaise, nazeerein pesh karte hain amanat mein khyanat ki, magar yeh dheel aakhir kab talak unko mayassar hai, kabhi to khatm hongi harkatein unki khabasat ki, suno Allah ka jab faisla aayega aye 'Akmal', badi dildoz hogi woh ghadi un par qayamat ki.

"Tera Chalan"
Eik hum hi nahi tere talabgaar bahut the, jalwon ke tere aur kharidar bahut the, ek paikar-e-wafa hi nahi tha tera chalan, kahne ko tere aur bhi kirdaar bahut the, gharatgar-e-imaa(n) thi maseehai bhi teri, zulfon ke khamopech ke beemar bahut the, dushwaar tar tha manzil-e-jaana ka woh safar, yoon raaste to aur bhi hamwaar bahut the, khuddariyon ki dhoop mein tanha nikal pade, go saaye ke liye dar-o-deewar bahut the, Akmal hi eik zakhmiye teer-e-nazar na tha, teri nigaah-e-naaz ke beemar bahut the.

-Kuch Aur
-------------
7-Teri yaadon ke hasee(n) mausam, jab bhi purwai leke aati hai, dil pe nashtar sa eik chalta hai, sari ummeed toot jati hai, dor ashkon ke regzaaron ki, mere hathon se choot jaati hai.
8-Raat kitni hasee(n) ho rahi hai, aasma(n) yeh zamee(n) ho rahi hai, eik aalam jawa(n) ho raha hai, eik duniya kahin kho rahi hai.
9-Aaj phir jazba-e-ulfat ne ulfat ne ye khai hai qasam, gham ke har mod pe hum saath rahenge tere, tang ho jaaye agar zeest ki chadar hum par, mere hathon mein sada hath rahenge tere.
10- Ghalat fahmi ke parde mein hazaron zakhm palte hain, teri yaadon ke is dil par magar nashtar se chalte hain, hameen anjaan rahon ke musafir ban gaye warn, bhala patthar ki duniya mein kahin insan baste hain, badi mushkil se haath aati hai nemat muskurahat ki, wagar na aad mein iski labon par zakhm sajte hain, koi taaron ki duniya se yahan paigham laya hai, hamari kam nasibi ke wahan qisse panapte hain, kabhi maujood the hum bhi kisi ke sheesha-e-dil mein, magar ab sheesh-e-dil par mere patthar baraste hain, kabhi sone ke shahron mein kabhi chandi ke gaaon mein, muhabbat ki dukanon par hazaron jism sajte hain, kabhi bewa ki aankhon se kabhi zalim ke khanjar se, lahu ki boond ban kar zeest ke arman tapakte hain, koi 'Akmal' ki rahon mein kabhi palkein bichata hai, kisi ki aankh mein hum aaj tak dekho khatakte hain.
11-Kabhi ahsas ke sahra mein pani chod jata hai, nigahon mein murravvat khush bayani chod jata hai, kabhi jo muskurakar meri janib dekh leta hai, mere qadmon mein lakar zindagani chod jata hai, woh ek jazba jise hum naam dete hain muhabbat ka, wahi benoor chahron par jawani chod jata hai, jise adrak hasil hai nizam-e-dahr ka yaaron, woh mar kar bhi nuqoosh-e-jaavedani chod jata hai, koi 'Akmal' ke dil ki baat jakar pooch le usse, zara si baat par woh bezabani chod jata hai.

No comments:

Post a Comment